Home   Web 2 SMS   Submit SMS   Contact Us

SMS CATEGORY
 
Stupid SMS
 
 
SUb Kuch
kiya macanic ney tumhein sub kuch samja diya hai.
kaam khatam ho janey k baad foreman ney new helper say poocha. jis ka pehla din tha.
g haan janab! is ney mujey achi tarah samja diya hai.
buhat khoob. foreman khush huwa, kiya kiya bataiya tha?
janab is ney kaha tha kh jab main aap ko aata daikhon to usay foran jaga doon.

Neely
aik booday aadmi ney apnay paras mein adakara neely ki photo rakhi hoi thi. aik dafa itfaq say us k betay ney wo photo daikh li to bola.
wa aba g! Khoob! aap ney apnay paras mein neely ki tasveer rakhi hoi hai.
booday ney kaha.
beta rakhi to tmuhari maa ki tasveer thi magar parray parray neely ho gayee.

Aap Ko Kaisay Maloom Huwa
mehman, meezban say-- kiya ap k guest room ki chut tapkati hai?
meezban,, G haan- magar aap ko kaisay maloom huwa?
mehman,, G wo kal raat mein wahan baitha soop pi raha tha jo pooray do gantay mein khatam huwa.

Zid
Jail mein aik mujram ney doosray mujram say poocha.
tumhain kis juram kiu saza mili hay?
hakoomat say meri zid chal rahi thi.
kiya matlab- kiya- tum koi leeder ho- pehlay qaidi ney hairat say poocha.
nahee- hakoomat ko yeh baat pasand nahee thi kh mein b as ki tarah currency note print karoon.

Bay Roze Ghari kaa Hal
bay roze ghari kaa Hal meray paas hai. aik shakhas ney kehna sharoo kiya.
tamam mardoon ko aik jazeeray mein aur tamam aurtoon ko doosray jazeeray mein baij dain- aap daikhi gay keh tamam mard aurteen kaam mein lag jayeen gay.
wo kiya kaam karain gay? kisi nay poocha.
wo sub kashtiyan banana sharoo ker dain gay- jawab mila.

Itmeenan
aik sahib aik buhat anaarri hajam say shave banwa ker farig huway to unhoo ney foran aik galas paani talab kiya wo buri tarah karah rahey they.
Itmeenan rakhein janab- aap bay hosh nahee hoon gay.
hajam ney paani kaa glass daitay huway kaha.
Mujey bay hosh honey kaa andaisha nahee- wo sahib hanptey hoie bolay.
main to daikhna chahta hoon kh paani meeray moon mein ruk sakey gaa ya nahee.

Mashwara
aik sahib ney telephone kiya to galti say kisi general store kaa number mil giya. unhoo ney call zaiya karna manasib naa samja aur bolay- suji hai aap key haan?
g haan.
cheeni aur gee b yaqeenan ho ga?
bilkul janab teeno cheezein hain.
dokandar khush ho ker bola, aur order kaa muntizar tha kh doosri taraf say jawab mila.
phir aap halwa keon nahee paka laitay.

Naam
aik sahib apney ghar k darwazay per apnay naam ki takhti laganey k baad us per bijli kaa bulb laga rahey thay. un key aik dost paas say guzray to rk ker poochney lagay.
bhai kiya ker rahey ho? apna naam roshan kerney ki koshash ker raha hoon.

Alzaam
aik admi ney doosray say poocha
mardoon key jhoot bolney ki zumadari- aurtoon per
wo kaisay pehley ney heerani say poocha.
wo itney ziyada sawalat keon karti hain.
doosray shakhs ney jawab diya.

Anjaan
aik nojawan ko apney samney sharmeelay say andaz mein kharra daikh ker sahib boley.
main samj giya tum kiya kehna chahtey ho, agar tum meri beeti say shadi karna chahtey ho to mujey koi aitraz nahee.
nojawan nay sutpata ker kaha. yeh baat nahee janab- main to aap say rupees udhar mangney aiya hoon.
wo sahib foran garj uthey, main tumhain udhar kaisay day sakta hoon. main to tumhain janta tak nahee.

 
 
   
 
 Face Book Friends
 

    SMS of the day

    Join our group and receive "SMS of the day" delivered directly into your mailbox.

    Email:

 
 

Send this page to your friends

Copyright © craze4sms.com . All rights are reserved .

For best view, screen resolution must be 1024 x 768